Ek Ladki Hai, Jo Mujhe Mujhse Zada Jaanti Hai .

Ek ladki hai,jo mujhe mujhse zada janti hai

.

Ek ladki hai jo mujhe.. Mujhse Jyada jaanti hai..

Jo lafz jubaan tak nahi aate mere.. wo unhe bhi pehchaanti hai..


Ek ladki hai jo mujhe.. Mujhse Jyada jaanti hai..

Sooz-booz mein mujhse aage hai.. wo tham jaati hai jab duniya bhaage hai.

.
Masroof rehti hai naa jaane kis gaao mein.. Tehwaron mein payal pehnati hai apne paayon mein..

Meri kahaniyon ko bade itminaan se sunti hai..
Mere shabdon par palke rakh kar, shayad wo bhi khwaab bunti hai..

Kuch chupata hoon usse toh naa jaane kaise jaan jaati hai..
Har baar, har baar mera mukhautaa hata kar.. meri sachhai pehchaan jaati hai..

Usse raaston ki parwah nahi hai.. woh khud ko lehar maanti hai..
Ek ladki hai jo mujhe.. Mujhse Jyada jaanti hai..

Mein naa sunu toh gusse mein aati hai.. Mein sunn loon toh muskuraati hai..
Mein udaas hoon toh samjhaati hai.. Mein chup hoon toh sehlaati hai..

Mein khafa hoon, toh nahi mujhe manati hai..
Meri naakaamiyon par apna haq jataati hai..
Thodi besuri hai.. Par gaa kar sunaati hai..
Mein paresaan naa karu, toh paresaan ho jaati hai..

Itni talishmaani hokar bhi, woh mujhe apna dost maanti hai..
Ek ladki hai jo mujhe.. Mujhse Jyada jaanti hai..

Haan, Haan mein usse mazak bhi karta hoon, par usse khone se bhi darta hoon..
Uski naa-pasand bhi mujhe pasand hai.. Uski awargi mein bhi meri azaadi band hai..

Mein shabd rakhta hoon, wo zajbaat uthaati hai..

Mein shabd rakhta hoon, wo zajbaat uthaati hai..
Mere kore kaagzon par kisi kaveeta si utar jaati hai..
Par, poori kaveeta mein bhi kaha khari utarti hai..
Roz roz, bhala jannat se khaha aesi pari utarti hai..

Main umeed naa todh doon isiliye mera haath thaamti hai..
Mujhse jyda mere sapno ko wo hakikat maanti hai..
Usse raaston ki parwah nahi hai.. Khud ko lehar maanti hai..

Published by Dharmveer Mandal

"Hello, everyone! Welcome to my blog. I am a fan of Dharmveer Mandal . Amandeep Singh, who is not only a YouTuber but also a poet, writer, and engineer. His poetry has had a profound impact on my life, guiding me to become a better person. I hope you enjoy this blog, and please feel free to share it."

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started